main sochta hun agar is taraf wo aa jata charagh-e-umr ki lau ek zara badha jata ajib bhul-bhulayyan hai rasta dil ka yahan to khizr bhi hota to dagmaga jata so apne hath se din bhi gaya hai duniya bhi ki ek sire ko pakadte to dusra jata magar nahin hai wo masruf-e-naz itna bhi kabhi kabhi to koi rabta kiya jata kabhi wo pas bulata to ye dil-e-durwesh bas ek ishaara-e-abru pe jhumta jata palat raha hun usi yar-e-mehrban ki taraf ab is qadar bhi nahin bewafa hua jata palat gaya inhin qadmon se 'aftab-husain' kahan talak wahi haalat dekhta jata