jale charagh bhala kaise ta-sahar koi hawa ke pas nahin dusra hunar koi ubharti dubti guzre hue visal ki naw badan ke bahr mein padta hua bhanwar koi ye dil-jazira kisi dhund ke ghilaf mein hai so ab jahaz nahin aaega idhar koi udas chand ne dariya ke dar pe dastak di khush-amdid ko badhne laga bhanwar koi kisi sawal ka chehra kisi khayal ka phul nawah-e-jaan mein kahan harf-e-mo'tabar koi