main sochta hun kahin tu khafa na ho jae teri ana meri zanjir-e-pa na ho jae ye jiti-jagti aankhen ye khwab si duniya wufur-e-shauq khud apni jaza na ho jae qadam qadam pe bapa jashn-e-imtihan-e-wafa teri tarah koi dard-ashna na ho jae na dekh mujh ko mohabbat ki aankh se ai dost mera wajud mera muddaa na ho jae main jis ko dhund raha hun nashat-e-qurbat mein mere khayal se bhi mawara na ho jae zamin ki god se suraj nikalne walo sitara-e-sahari rahnuma na ho jae harim-e-jaan mein hai arzan khumar-e-tira-shabi ye is dayar ki aab-o-hawa na ho jae gham-e-firaq mein lazzat sahi magar 'aslam' meri hayat mera khun-baha na ho jae