apne khala mein la ki ye tum ko dikha raha hun main wo jo khala-naward hain un ke liye khala hun main ishq hua nahin mujhe ishq ko ho gaya hun main utna nahin bacha hua jitna pada hua hun main ban to gaya hun kuza-gar ghum ke tere chaak par jaisa bana raha tha tu waisa nahin bana hun main mitti yahan ki thik hai mitti se kuchh gila nahin aankhen mila mila ke bas pani badal raha hun main bhes diye ka dhaar kar teri dua sanwar kar bich mein taqcha hai aur donon taraf khada hun main ruh mili hai ya nahin itna main jaanta nahin tere se ek jism ko pahle bhi mil chuka hun main bara baje ke baad ek din ko nikalte hue dekha to ja chuka hun par pakda nahin gaya hun main