main sochta rahta hun dimaghon mein nahin jo hai kaun sa wo phul ki baghon mein nahin jo hoti hai kisi dida-e-namnak ki lau se wo raushni kaisi hai charaghon mein nahin jo dekho na mera jism meri ruh jali thi ye dagh hai wo jild ke daghon mein nahin jo pani mein zaminon pe hawa mein use khoja wo kaisa nishan hai ki suraghon mein nahin jo ek kar-e-musalsal hai use chahte rahna lutf is ka lagatar hai naghon mein nahin jo is mahfil-e-ahbab ki sarshaari ajab hai wo mai bhi chhalak jae ayaghon mein nahin jo rangat hi nahin aab-o-hawa ka bhi asar hai bagulon mein koi baat hai zaghon mein nahin jo 'nasir' hain ajab boliyan taus-e-zaman ki ashjar ke pur-ghol kulaghon mein nahin jo