dil par nigah-e-naz ka jadu jo chal gaya wo sarhad-e-shuur se aage nikal gaya chhat par meri utarti nahin dhup aaj-kal suraj mere khilaf koi chaal chal gaya logon ne mujh ko apni nazar se gira diya jis din se main khulus ke sanche mein dhal gaya kyon hanste hanste aankh se aansu nikal pade kyon yak-ba-yak bahaar ka mausam badal gaya gauhar jise samajhte the sab log shahr mein parkha gaya use to wo patthar nikal gaya aai thi ban ke aag mere waste bahaar jis phul ko bhi main ne chhua hath jal gaya sach bolta nahin hai koi shakhs aaj-kal dekha jo mera hashr zamana sanbhal gaya rakhte the phunk phunk ke jab apna har qadam raste mein kaise panw tumhaara phisal gaya ummid jin se amn ki barish ki thi 'qamar' un baadalon ko waqt ka suraj nigal gaya