main surkh phul ko chhu kar palatne wala tha wo jazb tha ki mera jism katne wala tha us ek rang se paida hui ye qaus-e-quzah wo ek rang jo manzar se hatne wala tha mere qarib hi ek taq mein kitaben thin magar ye dhyan kahin aur batne wala tha ajib shan se utri thi dhup khwahish ki main apne sae se jaise lipatne wala tha tawil guftugu hoti rahi sitaron se nigar-khana-e-hasti ulatne wala tha zamin pe aamad-e-adam ka shor barpa hua wagarna rizq farishton mein batne wala tha khuda ka shukr hai nashsha utar gaya mera ki main subu mein samundar ulatne wala tha lapak rahi thi koi aag is taraf 'azar' main us se dur bahut dur hatne wala tha