yaad to aae kai chehre har ek gam ke baad koi bhi nam kahan aaya tere nam ke baad dasht-o-dariya mein kabhi gulshan-e-sahra mein kabhi main raha mahw-e-safar ek tere paigham ke baad gamzan rah-e-junun par hain to phir sochna kya kisi anjam se pahle kisi anjam ke baad dil ka har kaam faqat us ki nazar karti hai nam aata hai magar mera har ilzam ke baad meri be-tabi-e-dil mera muqaddar thahri shab-e-alam se pahle shab-e-alam ke baad kaam leta hai mujhi se wo musibat mein sada bhul jata hai magar mujh ko mere kaam ke baad barha us ne mera nam mitaya 'anjum' ro pada phir wo har ek bar isi kaam ke baad