main tasht-e-KHwab liye hath mein guzar gai hun

main tasht-e-khwab liye hath mein guzar gai hun
samajh saka na wo jis ke liye main ghar gai hun

bahut ajab thi samundar se guftugu lekin
pahan ke pyas palatne ka sabr kar gai hun

mera mizaj raha dasht-ashna shab bhar
ki din mein bastiyan dekhin to jaise dar gai hun

husul-e-khwahish-e-nayab garche na-mumkin
kisi ke wada-e-be-ab pe thahar gai hun

bahut nihaal hai dil aankh mein hai sarmasti
lage ki shahar-e-khush-anjam se guzar gai hun

bala se bhul gae wo jo aashna the kabhi
main aaj apne shabistan mein be-khatar gai hun

khusha hatheli pe yaadon ka qafila thahra
khusha ki yaad thi aisi khushi se mar gai hun

bahut aziz tha aashuftagi ka pairahan
ye jaan kar dam-e-azurdagi bikhar gai hun

sarab-asa raha wo talluq-e-khuban
palat palat ke bulata hai phir bhi dar gai hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close