nazar utha ke jo dekha udhar koi bhi na tha sulagti dhup ki sarhad pe ghar koi bhi na tha har ek jism tha ek poster shuaon ka sulagte dasht mein thanda shajar koi bhi na tha chamakte din mein to sab log sath the lekin udas shab mein mera ham-safar koi bhi na tha har ek shahar mein tha iztirab ka aaseb jahan sukun ho aisa nagar koi bhi na tha sabhi ko fann-e-jarahat se waqafiyyat thi hamari tarah wahan be-hunar koi bhi na tha sab apne kamron mein masti ki nind soe the siyah shab mein sar rahguzar koi bhi na tha jo talkh sham ke sayon ko qatl kar deta tamam-shahr mein itna nidar koi bhi na tha mere zawal ki sab ko thi aarzu 'asad' mere kamal se khush-dil magar koi bhi na tha