main tera muntazir hun jalwa-e-jaanana barson se chhalak uttha hai mere sabr ka paimana barson se wafa ki pasdari hai na jal jaane ka jazba hai badal dali hai kis ne fitrat-e-parwana barson se na la gardish mein us ke samne paimana ai saqi na jaane kaun se zindan mein tha diwana barson se unhen israr hai main un ko ghar aane ki dawat dun kahun kaise unhen ghar hai mera virana barson se qayamat hai usi par bewafa hone ki tohmat hai jo deta aa raha hai jaan ka nazrana barson se na jaane kitni barsaton mein dhunda hai 'qamar' hum ne nazar aate hain wo mai-kash na wo mai-khana barson se