main tere hijr-zada mausamon ki zad mein hun pas-e-khayal teri qurbaton ki had mein hun main chahti hun ujala meri zamin par ho main ek diya hun magar raushni ki mad mein hun ye nasl-e-nau mere lahje se muttafiq kab hai main ek sawal hun lekin qubul-o-rad mein hun kashan kashan liye phirti hai justuju koi khabar nahin ki junun mein hun ya khirad mein hun mera hunar mera apna hai mustaar nahin main jis qadar bhi jahan bhi hun apne qad mein hun kuduraten hain yahan nafrat-o-adawat hai magar main phir bhi yahan fikr-e-nek-o-bad mein hun wo dosti mein 'ghazal' had se gir gae lekin main dushmani ko nibha kar bhi apni had mein hun