main tere shahr mein aaya to thahar jaunga saya-e-abr nahin hun ki guzar jaunga jazba-e-dil ka wo aalam hai to insha-allah dard ban kar tere pahlu mein utar jaunga mahz bekar na samjhen mujhe duniya wale zindagi hai to koi kaam bhi kar jaunga de ke aawaz to dekhe shab-e-tarik mujhe raushni ban ke fazaon mein bikhar jaunga chhod ai raunaq-e-bazar mera daman-e-dil sham aangan mein utar aai hai ghar jaunga main mujahid hun kisi se nahin darta lekin samna khud ka jo ho jae to dar jaunga raste saf hain sab fazl-e-khuda se 'mahir' koi diwar na rokegi jidhar jaunga