faza hoti ghubar-aluda suraj dubta hota ye nazzara bhi dilkash tha agar main thak gaya hota nadamat saaten aain to ye ehsas bhi jaga ki apni zat ke andar bhi thoda sa khala hota guzishta roz o shab se aaj bhi ek rabt sa kuchh hai wagarna shahr bhar mein mara mara phir raha hota ajab si narm aanhken gandumi aawaz khushbuen ye jis ka aks hain us shakhs ka kuchh to pata hota masail jaise ab darpesh hain shayad nahin hote agar kar-e-junun main ne saliqe se kiya hota