main tere waste ladte hue mara jata ishq walon mein mohabbat se pukara jata sang se shisha banate hain banane wale koi hota to mere dil ko sudhaara jata yar logon ne bichhadne mein bahut jaldi ki sath chalte to muqaddar bhi sanwara jata main mohabbat ke qabile ka payambar hota tu sahife ki tarah mujh pe utara jata teri aankhon se koi nazm tarashi jati tere honton se koi sher ubhaara jata chahta main to use chhod ke ja sakta tha ganw mit jata jo dariya ka kinara jata ab koi aur wasila mere jine ke liye ab tera hijr nahin mujh se guzara jata