main teri chah mein jhuta hawas mein sachcha hun bura samajh le magar dusron se achchha hun main apne aap ko jachta hun be-hisab magar na jaane teri nigahon main kaisa lagta hon bichha raha hun kai jal ird-gard tere tujhe jakadne ki khwahish mein kab se baitha hon tu barf hai to pighal jaega tamazat se tu aag hai to main jhonka tujhe hawa ka hun bikhar bhi jae to mujh se na bach sakega kabhi tujhe samet ke lafzon mein bandh sakta hon main yun bhi hun mujhe malum hi na tha 'nashtar' samajh raha tha bahut nek hun farishta hun