dil ke zakhmon ki chubhan dida-e-tar se puchho mere ashkon ka hai kya mol guhar se puchho ghar jala baithe charaghon ki hawas mein aakhir ghar ki qimat to kisi khak-basar se puchho ye to malum hai main samt-e-safar kho baithi tum isi baat ko andaz-e-digar se puchho ret udti hai sujhai nahin deta kuchh bhi kat sakegi kabhi ye raat sahar se puchho yun to majnun bhi hua kohkan o mansur hue ghayal ab kaun hua tir-e-nazar se puchho log kahte hain mujhe sang-e-sar-e-rah 'bushra' qadr-o-qimat meri kuchh ahl-e-hunar se puchho