main teri dastaras se bahut dur tha phir bhi nazdik aane pe majbur tha aaj main hi saza-war-e-jaur-o-sitam kal teri mang ka main hi sindur tha kaun aata hai yun zer-e-dam in dinon raat tarik thi aashiyan dur tha kuchh khulus-e-wafa par bhi nadim tha main aur kuchh dil ke zakhmon se bhi chur tha aaina dekh kar yun nadamat hui main ki 'rahat' hun ab pahle mansur tha