ghariq-e-zikr-e-khuda din ko khanqah mein tha jo shaikh raat ko duba hua gunah mein tha tamam sang-dili ya ki phir ghurur-o-hasham kuchh aur is ke siwa bhi jahan-panah mein tha huruf-e-makr tere lab pe the magar zalim mujhe fareb bhi khana wafa ki rah mein tha tumhaare qaul-o-qasam par fareb kya khata tumhaara tarz-e-ada bhi meri nigah mein tha tapak ke dida-e-nam se sadaen deta hai jo ek harf-e-tamanna dil-e-tabah mein tha mujhe to ras ai 'khalid' yahi zamin aai ye aur baat mera zikr mahr-o-mah mein tha