main tishna tha mujhe sar-chashma-e-sarab diya thake badan ko mere pattharon mein dab diya jo dastaras mein na tha meri wo mila mujh ko bisat-e-khak se bahar jahan-e-khwab diya ajab karishma dikhaya ba-yak qalam us ne hawa chillai samundar ko naqsh-e-ab diya mein rakh ho gaya diwar-e-sang takte hue suna sawal na us ne koi jawab diya tahi-khazana nafas tha bacha ke kya rakhta na us ne puchha na main ne kabhi hisab diya phir ek naqsh ka nairang 'zeb' bikhrega mere ghubar ko phir us ne pech-o-tab diya