main to chup tha magar us ne bhi sunane na diya gham-e-duniya ka koi zikr tak aane na diya us ka zahraba-e-paikar hai meri rag rag mein us ki yaadon ne magar hath lagane na diya us ne duri ki bhi had khinch rakhi hai goya kuchh khayalat se aage mujhe jaane na diya baadban apne safine ka zara si lete waqt itna bhi zamane ki hawa ne na diya wahi inam zamane se jise milna tha log masum hain kahte hain khuda ne na diya koi fariyaad kare gunj mere dil se uthe mauqa-e-dard kabhi hath se jaane na diya 'shaz' ek dard se sau dard ke rishte nikle kin masaib ne use ji se bhulane na diya