zulf jo rukh par tere ai mehr-e-talat khul gai hum ko apni tira-rozi ki haqiqat khul gai kya tamasha hai rag-e-laila mein duba neshtar fasd-e-majnun bais-e-josh-e-mohabbat khul gai dil ka sauda ek nigah par hai teri thahra hua narkh tu kya puchhta hai ab to qimat khul gai aaine ko naz tha kya apne ru-e-saf par aankh hi par dekhte hi teri surat khul gai thi asiran-e-qafas ko aarzu parwaz ki khul gai khidki qafas ki kya ki qismat khul gai tere aariz par hua aakhir ghubar-e-khat numud khul gai aaina-ru dil ki kudurat khul gai be-takalluf aae tum khole hue band-e-qaba ab girah dil ki hamare fil-haqiqat khul gai bandhi zahid ne tawakkul par kamar sau bar chust lekin aakhir bais-e-sussti-e-himmat khul gai khulte khulte ruk gae wo un ko tu ne ai 'zafar' sach kaho kis aankh se dekha ki chahat khul gai