main to kaghaz hun mujhe aag pakad jaegi par teri baat hawaon se bigad jaegi khushk pedon ki tarah zard mohabbat hai meri is pe sabza nahin aaya to ye jhad jaegi main ki mitti ki imarat hun kisi roz yunhi dil ye dheh jaega har int ukhad jaegi itna barfab khamoshi ka jazira hai yahan chaar din thahrun to aawaz akad jaegi tere kahne pe mohabbat ki banafshi chadar odh to li hai magar jald udhad jaegi