raushni chashm-e-KHaridar mein aati hi nahin

raushni chashm-e-kharidar mein aati hi nahin
kuchh kami raunaq-e-bazar mein aati hi nahin

us se kuchh aisa talluq hai ki shiddat jis ki
kisi pairaya-e-izhaar mein aati hi nahin

jo nahin hota bahut hoti hai shohrat us ki
jo guzarti hai wo ashaar mein aati hi nahin

sakht hairan hun salahiyyat-e-khaibar-shikni
waris-e-haidar-e-karrar mein aati hi nahin

tum ne dekhi hai ajab kaifiyat-e-chashm 'siraj'
baat wo nargis-e-bimar mein aati hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close