main to main ghair ko marne se ab inkar nahin

main to main ghair ko marne se ab inkar nahin
ek qayamat hai tere hath mein talwar nahin

kuchh pata manzil-e-maqsud ka paya hum ne
jab ye jaana ki hamein taqat-e-raftar nahin

chashm-e-bad-dur bahut phirte hain aghyar ke sath
ghairat-e-ishq se ab tak wo khabar-dar nahin

ho chuka naz uthane mein hai go kaam tamam
lillahil-hamd ki baham koi takrar nahin

muddaton rashk ne aghyar se milne na diya
dil ne aakhir ye diya hukm ki kuchh aar nahin

asl maqsud ka har chiz mein milta hai pata
warna hum aur kisi shai ke talabgar nahin

baat jo dil mein chhupate nahin banti 'haali'
sakht mushkil hai ki wo qabil-e-izhaar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close