main to nahin hun in ke jaisi ye to udna jaane hain ye jo sab khush-rang parinde pinjre ke diwane hain baith zara aaram se dil ki dor mujhe suljhane de uljhi uljhi dhadkan ke kamzor se tane bane hain apni khak se dur sahi par sondhi hai hijrat ki dhul kahne do kahne walo ko dur ke dhol suhane hain sirf ghadi ki tik-tik sunna maut se pahle maut hai yar waqt se aage badh kar dekho aage nae zamane hain khud ko gale se lagaya dekha man aangan barsat ke baad dhup si aankhen damak rahi hain bhige bhige shane hain kis ko pata hai kitna waqt lagega in ko bharne mein dard to badhta hi jata hai lekin zakhm purane hain zist ki train mein apne apne phone uthae gum-sum se jaane pahchane raston par log sabhi anjaane hain tere dar par 'sima' 'naqwi' kyon aate hain roz ye sang ek tu hi diwani hai ya baqi sab diwane hain