kashmakash mein zindagi uljhi rahi aansuon se har khushi uljhi rahi dil ka rishta mustaqil gham ban gaya dosti se dushmani uljhi rahi ab wo aankhen band ho jaane ko hain aas jin mein aakhiri uljhi rahi fan hawas-karon mein aa kar lut gaya ghunghruon se naghmagi uljhi rahi jam aankhon ke chhalakte rah gae sagharon se mai-kashi uljhi rahi wo to ai 'nasrin' rukhsat ho gaya mujh se meri shairi uljhi rahi