main to samjha tha jis waqt mujh ko wo milenge to jannat milegi kya khabar thi rah-e-ashiqi mein sath un ke qayamat milegi main nahin jaanta tha ki mujh ko ye mohabbat ki qimat milegi aansuon ka khazana milega chaak daman ki daulat milegi phul samjhe na the zindagani is qadar khub-surat milegi ashk ban kar tabassum milega dard ban kar masarrat milegi meri ruswaiyon pe na khush ho meri diwangi ko dua do tum ko jitni bhi shohrat milegi sirf meri badaulat milegi dil hamara na todo khuda-ra warna kho doge apna sahaara zarre zarre mein is aaine ke tum ko apni hi surat milegi un ke rukh se naqab aaj uthegi ab nazaron ki meraj hogi ek muddat se aaj ahl-e-gham ko muskurane ki mohlat milegi kaise sabit-qadam wo rahega us ki tauba ka kya haal hoga jis ko sunte hain shaikh-e-haram se mai-kashi ki ijazat milegi