har dam dua-e-ab-o-hawa mangte rahe nange darakht sabz qaba mangte rahe yaron ka e'tiqad bhi andha tha is qadar gungi riwayaton se sada mangte rahe kitni ajib baat thi jab sard raat se hum dopahar ki garm hawa mangte rahe karte rahe jo din ke ujalon se ehtiraaz wo bhi andheri shab mein ziya mangte rahe kuchh log aise bhi the jo lamhat-e-karb se aasuda saaton ka pata mangte rahe