main to zahr-e-gham bhi pi kar ji liya

main to zahr-e-gham bhi pi kar ji liya
dahr mein suqraat ka charcha hua

jaan de kar un ko paya hai magar
phir bhi ye sauda bahut sasta hua

bolti aankhen tabassum zer-e-lab
chehra-e-gulfam sharmaya hua

husn ne chupke se unwan likh diya
ishq ka mashhur afsana hua

aabru-e-husn aankhen khushk hain
abr-e-gham bhi hai magar barsa hua

mast-o-shadan mutmain ghurbat mein hai
jaise daldal mein kanwal hansta hua

mil ke ji 'sultan' se khush ho gaya
aadmi maqul hai suljha hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close