shafaq kirnen kanwal talab uske

shafaq kirnen kanwal talab us ke
ye manzar sab hasin shadab us ke

chalo kahne ko hain ninden hamari
magar aankhon mein sare khwab us ke

jahan-e-tirgi aalam hamara
ujale raushni ke bab us ke

usi ki zat wajh-e-nur-o-naghma
ye jharne kahkashan mahtab us ke

kitab-e-zindagi par nam apna
jo andar dekhiye abwab us ke

hamari guftugu wahi-tabahi
magar aqwal sab nayab us ke

qatil-e-dostan 'jawed' apna
mile the aaj phir ahbab us ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close