main tujhe bhulna chahun bhi to na-mumkin hai tu meri pahli mohabbat hai mera mohsin hai main use subh na jaanun jo tere sang nahin main use sham na manun ki jo tere bin hai kaisa manzar hai tere hijr ke pas-e-manzar ka reg-e-sahra hai rawan aur hawa sakin hai teri aankhon se tere hathon se lagta to nahin mere ahbab ye kahte hain ki to kamsin hai abhi kuchh der mein ho jaega aangan jal-thal abhi aaghaz hai barish ka abhi kin-min hai ain mumkin hai ki kal waqt faqat mera ho aaj mutthi mein ye aaya hua pahla din hai aaj ka din to bahut khair se guzra 'nasik' kal ki kyun fikr karun kal ka khuda zamin hai