ye kis ke aasman ki hadon mein chhupa hun main apni zamin se uth ke kahan aa gaya hun main baadal mein chhup gaya hai jo suraj tu hi to tha jo jal raha hai ghar mein wo raushan diya hun main jaega tu jahan bhi rahunga main tere sath tu abr-e-be-niyaz to bahti hawa hun main rah kar bhi har maqam pe dikhta nahin hai kyun kab khud ko apne-ap mein aakhir mila hun main tere azal abad ke kinaron ke darmiyan karti hai bazgasht jo aisi sada hun main phir yun hua ki raushni had se siwa hui khurshid-e-zau-fishaar tha dekho bujha hun main hota zafar qarar jo nashtar nahin hua 'jawed' dasht-e-sher mein be-dast-o-pa hun main