main tujh se apni rafaqaton ka hisab likkhun to aankhon aankhon hasin rangon ke khwab likkhun bichhad ke tujh se tujhi ko sochon tujhi ko chahun ki nam tere hi apne dil ki kitab likkhun na kuchh samajh mein jo aae dil ki to ro padun main ki hijr mein ye guzarte lamhe azab likkhun ye meri khana-kharabiyon pe sawal utthe chale bhi aao ki dahr ko main jawab likkhun hayat apni to khushk patti se khushk-tar hai kabhi to yun hoga zindagi kaamyab likkhun udas chehre pe yun chamakti hon meri aankhen kabhi tabassum ke nam rang-e-gulab likkhun