mere to roz-o-shab se khasara nahin gaya shayad ki tum ko dil se pukara nahin gaya be-rabt ho gai hai tere baad is tarah phir zindagi ko hum se guzara nahin gaya mahfuz meri aankhen mein rukhsat ka waqt hai in donon khidkiyon se nazara nahin gaya chehre pe hai ayan wahi tahrir-e-dil-shikast mujh se to aur rup bhi dhaara nahin gaya kashti wafa ki dubi to bahr-e-yaqin mein maujen gai hain sath kinara nahin gaya tuta falak se jo bhi zamin-zad ban gaya wapas palat ke phir wo sitara nahin gaya ai 'hadia' sanwar di duniya ki rahguzar lekin nasib apna sanwara nahin gaya