main use apne muqabil dekh kar ghabra gaya ek sarapa mujh ko zanjiren nai pahna gaya main to jal kar bujh chuka tha ek khandar ki god mein wo na jaane kyun mujhe hansta hua yaad aa gaya main zamin ki wusaton mein sar se pa tak gharq tha wo nazar ke samne ek aasman phaila gaya soch ke dhagon mein lipta mera apna jism tha ek lamha mujh ko apni zat mein uljha gaya main to shayad waqt ke sanche mein dhal jata 'nisar' koi mujh ko mawara ki dastan samjha gaya