kisi rut mein jab muskuraata hai tu numu pattharon mein jagata hai tu tera shoala-e-nutq ruh-e-rawan ufuq-ta-ufuq phail jata hai tu kabhi kholta hai samundar ke raaz kabhi ek qatra chhupata hai tu kabhi gharq kar de safine hazar kabhi ek kashti taraata hai tu kabhi phunk de wadi-e-gul tamam kabhi aag mein gul khilata hai tu kabhi sharh-e-la-taqnatu ke liye sarabon mein dariya bahata hai tu gawara nahin tujh ko viraniyan kharabon ko phir se basata hai tu siyah sakht maujon ke aaseb mein jazire dhanak rang ugata hai tu tere izn se andhi aaankhon mein nur kabhi khak mein ram jagata hai tu kiran bhej kar ek zulmat ki shahanshahon ko zalzalata hai tu ujalon mein hain teri ranginiyan andheron mein shamen jalata hai tu