main use dekh rahi hun badi hairani se jo mujhe bhul gaya is qadar aasani se khud se ghabra ke yahi kahti hun auron ki tarah khauf aata hai mujhe shahr ki virani se ab kisi aur saliqe se satae duniya ji badalne laga asbab-e-pareshani se tan ko dhanpe hue phirte hain sabhi log yahan sharm aati hai kise soch ki uryani se ai falak chhod de be-yar-o-madadgar hamein dam ghuta jata hai ab teri nigahbani se main use khwab samajh sakti hun lekin 'amabar' lams jata nahin us ka meri peshani se