jis din se rabta mera dilbar se kat gaya rishta nadi ka jaise samundar se kat gaya hum log aa ke bas gae hain jab se shahr mein akhlaq ganw wala wo ghar ghar se kat gaya har koi aaj gharq hai apni hi zat mein yun rafta rafta aadmi bahar se kat gaya mumkin hai roz-e-hashr shahidon mein ho shumar apna gala to pyar ke khanjar se kat gaya nadim hain 'nazr' hum to taraqqi mein shahr ki budhiya ka jhonpada kahin manzar se kat gaya