main use tujh se mila deta magar dil mere mere kuchh kaam nahin aae wasail mere wo junun-khez masafat thi ki dekha hi nahin umr bhar panw se lipti rahi manzil mere tu mila hai to nikal aae hain dushman sare waqt kis kis ko utha laya muqabil mere abr-e-girya ne wo tufan uthae ab ke mere dariyaon ko kam pad gae sahil mere jitna hal karta hun utna hi bigad jate hain tu nahin jaanta ai dost masail mere ishq mein haar ke mani hi badal jate hain tujh ko malum nahin hai abhi qatil mere be-ant safar mera muqaddar hai 'salim' mujh mein tai karta hai ye kaun marahil mere