tere nazdik aa kar sochta hun main zinda tha ki ab zinda hua hun jin aankhon se mujhe tum dekhte ho main un aankhon se duniya dekhta hun khuda jaane meri gathri mein kya hai na jaane kyun uthae phir raha hun ye koi aur hai ai aks-e-dariya main apne aks ko pahchanta hun na aadam hai na aadam-zad koi kin aawazon se sar takra raha hun mujhe is bhid mein lagta hai aisa ki main khud se bichhad ke rah gaya hun jise samjha nahin shayad kisi ne main apne ahd ka wo saneha hun na jaane kyun ye sansen chal rahi hain main apni zindagi to ji chuka hun jahan mauj-e-hawadis chahe le jae khuda hun main na koi nakhuda hun junun kaisa kahan ka ishq sahab main apne aap hi mein mubtila hun nahin kuchh dosh us mein aasman ka main khud hi apni nazron se gira hun tarare bhar raha hai waqt ya rab ki main hi chalte chalte ruk gaya hun wo pahron aaina kyun dekhta hai magar ye baat main kyun sochta hun agar ye mahfil-e-bint-e-inab hai to main aisa kahan ka parsa hun gham-e-andesha-ha-e-zindagi kya tapish se aagahi ki jal raha hun abhi ye bhi kahan jaana ki 'mirza' main kya hun kaun hun kya kar raha hun