main us ki baat ke lahje ka e'tibar karun karun ki us ka na main aaj intizar karun main sirf saya hun apna magar ye zid hai mujhe ki apne-ap ko khud se alag shumar karun ajab mizaj hai us ka bhi chahta hai ki main ba-taur-e-waza faqat khud ko ikhtiyar karun main ek athah samundar hun is khayal mein gharq ki dub jaun main khud mein ki khud ko par karun khud apne-ap se milne ke waste pahle main apne-ap ko dariya se aabshaar karun main us ki dhup hun jo mera aaftab nahin ye baat khud pe main kis tarah aashkar karun kisi qadim kahani mein ek muddat se wo so raha hai ki main us ko hoshiyar karun phir ek aas ki chilman se umr bhar lag ke khud apne panw ki aahat ka intizar karun