mera bhi har ang tha bahra us ka jism bhi gunga tha warna aapas mein kahne-sunne ko jaane kya kya tha mere andar se jo mujh mein dip jalane nikla tha jaane kitni bar wo apne hi sae se uljha tha is ghar ke chappe chappe par chhap hai rahne wale ki mere jism mein mujh se pahle shayad koi rahta tha koi pyasa mil jae to phir lahren le sakta hun ab main gham se sukh gaya hun pahle main bhi dariya tha