main us ki baat ki tardid karne wala tha ek aur hadsa mujh par guzarne wala tha kahin se aa gaya ek abr darmiyan warna mere badan mein ye suraj utarne wala tha mujhe sambhaal liya teri ek aahat ne sukut-e-shab ki tarah main bikharne wala tha ajib lamha-e-kamzor se main guzra hun tamam silsila pal mein bikharne wala tha main ladkhada sa gaya saya-e-shajar mein zarur main raste mein magar kab thaharne wala tha ab aasman bhi bada shant hai zamin bhi sukhi guzar gaya hai jo hum par guzarne wala tha laga jo pith mein aa kar wo tir tha kis ka main dushmanon ki safon mein na marne wala tha