nindon ka ek aalam-e-asbab aur hai

nindon ka ek aalam-e-asbab aur hai
shayad kisi ki aankh mein ek khwab aur hai

tu mujh ko taq-e-sina mein rakkha hua na jaan
main jis mein jal raha hun wo mehrab aur hai

yunhi nahin ye zarbat-e-tesha ki dastaken
lagta hai ek fasil pas-e-bab aur hai

lahra raha hai sath pe mahtab-e-ghota-zan
har-chand ek shahr tah-e-ab aur hai

phuti hain jis jagah meri aankhon ki konplen
dil se pare wo khitta-e-shadab aur hai

khoya hua hun nind ke parde ke us taraf
lagta hai ek khwab pas-e-khwab aur hai

kirnen to ek nigah-e-subuk-rau ki lahr hain
dumbaala-dari-e-shab-e-mahtab aur hai

'tabish' ye tera aks nahin meri aankh mein
is jhil mein ye partaw-e-zartab aur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close