main us ki mohabbat se ek din bhi mukar jata kuchh aur nahin hota is dil se utar jata jis sham giraftari qismat mein meri aai us sham ki lazzat se main aur bikhar jata khushbu ke taaqub ne zanjir kiya mujh ko warna to yahan se main chup-chap guzar jata aawaz samaat tak pahunchi hi nahin shayad wo warna tasalli ko kuchh der thahar jata zehnon ke marasim the ek sath bhi ho jate ek rah agar koi diwar mein kar jata tasir nahin rahti alfaz ki bandish mein main sach jo nahin kahta lahje ka asar jata ab tere bichhadne se ye baat khuli mujh par to jaan agar hota main jaan se guzar jata dil hum ne 'azim' apna aaseb-zada rakkha jo khwab janm leta wo khauf se mar jata