main usko DhunDhta hun tere iltifat mein

main us ko dhundhta hun tere iltifat mein
tarikh chhod aai jise somnat mein

mutthi mein apni aise lakiron ko qaid kar
jaise tera nasib ho tere hi hat mein

kaise yaqin aae bhala us ki baat ka
jis ka mizaj mil na sake baat baat mein

wo jo fuzul-kharch hai kal na-shanas bhi
barakat talash karta hai chhe aath sat mein

saudagaron mein kitni hi raaten guzar kar
qimat ki nabz dub gai ek raat mein

insan ne mehr-o-mah ke parde utha diye
khud ko talash kar na saka kaenat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close