tum jinhen dil mein liye phirte ho jazbon ki tarah

tum jinhen dil mein liye phirte ho jazbon ki tarah
zarb-e-lafzi se bikhar jaenge shishon ki tarah

us ne wade jo kiye the kabhi qasmon ki tarah
dil pe tahrir hain hathon ki lakiron ki tarah

main ki azmat mein farishton se ziyaada hun magar
chahta ye hun nazar aaun farishton ki tarah

sans ke sath ghute jate hain ruhon ke libas
hum bhi tahlil hue jate hain lamhon ki tarah

ye ghataen ye siyah raat ye kajal ye nasib
in mein koi bhi nahin hai teri zulfon ki tarah

koi dhadkan ya hararat ya koi aansu ho
yun to patthar bhi nazar aate hain jismon ki tarah

intizar aur kisi shoala-badan ka 'akhtar'
meri aankhen mujhe lagne lagin chhaalon ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close