main usulon se baghawat nahin karne wali kabhi tauhin-e-mohabbat nahin karne wali mujh ko nazrana-e-dil pesh na kije sahab har kisi se main mohabbat nahin karne wali jo sharafat ki hadon mein kabhi rahte hi nahin aise logon ki main izzat nahin karne wali tu ne dil tod diya kar diya mahrum-e-wafa phir bhi main teri shikayat nahin karne wali khun-e-mazlum se jo pyas bujhaen apni main kabhi un ki himayat nahin karne wali mere dil ne jise chaha wahi sab kuchh hai mera main mohabbat ki tijarat nahin karne wali ai 'ana' meri tabiat mein hai shokhi lekin dil-shikan koi shararat nahin karne wali