na ye puchhiye mujh se kya chahti hun main ek bewafa se wafa chahti hun nazar saf aae na taswir jis mein main wo aaina todna chahti hun jo tanqid karte hain meri wafa par main un se subut-e-wafa chahti hun kahin sath to chhod denge na mera main ye aap se puchhna chahti hun zamane ko hai chand taron ki khwahish magar main teri gard-e-pa chahti hun karam par karam kyon hain logon ke mujh par main is bare mein suchna chahti hun nahin chahiye mujh ko duniya ki daulat mohabbat ki dilkash faza chahti hun yaqinan 'ana' mujh ko manzil milegi buzurgon se apne dua chahti hun